| The
Favourite collection of Urdu Poems and Gazals. |
|
| Mujhe tum nazar se gira tå rahe ho |
Mujhe tum nazar se gira tå rahe ho
Mujhe tum kabhi bhi bhula na sakoge.
Na jane mujhe kiyon yaqeen ho chala hai
Mere pyaar ko tum mita na sakoge
Meri yaad hogi jidhar jaoge tum
Kabhi nagma ban ke ..kabie ban ke ansoon
Tarapta mujhey har taraf paoge tum
Shama jo jalai hai meri wafa ne
Bhujana bhi chaho bhuja na sako ge...
Kabhi naam baaton main aaya jo mera
Tå bechen ho ho ke dil thaam loge
Nigahon main chayega gham ka andhera
Kisi no jo poocha sabab aansoon ka
Batana bhi chaho bata na sakoge
Mujhey tum nazar sey gira tau raho ho
Mujhey tum kabhie bhi bula na sakogey
|
| Yeh zindagi bari ajeeb si |
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si
Kabhi khushi hamare sath sath
Kabhi ghamon ki barsat si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi tofanon main bhi hain raste
Kabhi manzilon ka pata nahi
Kabhi do kadam pe zindagi
Kabhi saddion tak intizar si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi her pal imtihan hai
Kabhi bin mange inam hai
Kabhi kuch nahi
Kabhi sab kuch si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si
|
| Us Waqt Teri Yaad Aati Hai |
Us Waqt Teri Yaad Aati Hai
Jab Shaam Dhale Chalte Chalte
Manzil Ka Na Koi Naam Mile
Hansta Hua Ik Aaghaz Mile
Rota Hua Ik Anjaam Mile
Palkoon Ke Larazte Ashkoon Se
Is Dil Ko Koi Pegham Mile
Aur Sari Wafaoon Ke Badle
Mujh Ko He Koi Ilzaam Mile
Aise Hi Kisee ek Lamhe Mein
Chupke Se Kabhi Khamoshi Mein
Kuch Phool Achanak Khil JaAin
Kuch Beete Lamhe Yaad AaAi
Us Waqt Teri Yaad Aatee Hai
Shiddat Se Teri Yaad Aatee Hai
|
| Yehi Wafa ka silaah hai, to koi baat nahi |
Yehi Wafa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa keh tumko
Woh ghar tum ne chorr diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne torr diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
|
| ik gham ke siwa is duniya main |
ik gham ke siwa is duniya main
ab aur hamara koi naheen
tab dil ke saharay thay kiya kiya
ab dil ka sahara koi naheen
ik gham ke siwa is duniya main
is dil ki kashti maujon main
doobay gi phir doobay gi
na diya hai kinara koi naheen
toofan hai sahara koi naheen
ik gham ke siwa is duniya main
raat andheri gham ke sayay
kalay badal tez hawa
aik andhera chaya hai
aur chaand sitara koi naheen
ik gham ke siwa is duniya main
dil raakh howa barbaad howay
aur aag lagi deewaron main
is ghar main akailay baithay hain
aur saath tumhara koi naheen
ik gham ke siwa is duniya main
ab aur hamara koi naheen
tab dil ke saharay thay kiya kiya
ab dil ka sahara koi naheen
ik gham ke siwa is duniya main
ik gham ke siwa is duniya main
|
| aaj puraanii raahon se, koI mujhe aavaaz na de |
aaj puraanii raahon se, koI mujhe aavaaz na de
dard men Duube giit na de, gam kaa sisakataa saaz na de
biite dinon kii yaad thii jinamen, main vo taraane bhuul
chukaa
aaj na_ii manzil hai merii, kal ke Thikaane bhuul chukaa
na vo dil na sanam, na vo diin
ab duur huuN saare gunaahon se
jiivan badalaa duniyaa badalii, man ko anokhaa GYaan milaa
aaj mujhe apane hii dil men, ek nayaa inasaan milaa
pahuNchaa huuN vahaaN, nahiin duur jahaaN, bhagavaan kii nek
nigaahon se
TuuT chuke sab pyaar ke bandhan, aaj koii zanjiir nahiin
shiishaa-e-dil men aramaanon kii, aaj koii tasviir nahiin
ab shaad huuN main, aazaad huuN main, kuchh kaam nahiin hai
aahon se
|
| ajeeb haalat hai aaj apanii |
ajeeb haalat hai aaj apanii
har ek tamannaa machal rahii hai
kyuun aaj mujhako ye lag rahaa hai
ki dil ki dhaDakan badal rahii hai
hai aashikaanaa mizaaz apanaa
kaho tumhaaraa mizaaz kyaa hai
agar kaho tum to main bata duun
chhupaa dil men vo raaz kyaa hai
main chaahatii huun ki tumako rakh luuN
apanii har saaNs men chhupaa ke
saaNs men chhupaa ke
|
| nazar milaanaa bhii ek adaa hai |
nazar jhukaanaa bhii ik adaa hai
ye baat sach hai kisiise pUchho
nazar churaanaa bhii ik adaa hai
hai udhar nahiin kuchh udhar na dekho
idhar hai vo dil jo tujhako chaahe
bahut hasiin hai tumhaaraa gussaa
hame to isape bhii pyaar aaye
tumhaarii aaNkhon ne kyaa kahaa hai
pUchho tum ye kariib aake
haay ye kariib aake
chhuDaa ke daaman
|